Sunday, September 12, 2010

Saathi



yeh zindagi ka ajab khel samne aya hai,
jisay dil se apna mana aj wohi paraya hai,
kal tak jo har gham mein sath tha,
aj usi ki ankh ne humein andekha banaya hai,
pyar bharay dil se jo ek dusre ko yad kia karte the,
aj usi pyar ne ek naya rukh paya hai

Majburi

har mor per mera sath diya
har mor per mera hath thama
jab jab dil se yad kia
tab tab mujhko hath diya
zindagi k is akelepan mein
pyar se mujh ko sehlaya
kandhay ka sahara de de kr
apna mujh ko batlaya
aj jab woh waqt aya hai
unho ne mujeh bulaya hai
dil se bharosa rakha hai
aur dil ki bat ko batlaya hai
to main itni majbur hui
un se main yun dur hui
chah k bhi na unki hosaki
dil ki bat na keh saki
na wada main ne nibhaya hai
aur dhoka unho ne khaya hai